Featured

Seekh ……….Abhi baki hi!!!!!

Chalna to seekh lia , par soch samajh kar kadam rakhna ,
seekhna abhi baki hai

Padhna to seekh lia , par kitaboon ki pehchan aana abhi baki hai

Hasna to seekh lia ,
par rote hue ko hansa dena , Abhi baki hai

Maine Rona bhi seekh lia , par kisi ko dukhi dekh rona , abhi baki hai

Gana bhi seekh lia,
par gaate hue , khushi aur gam se guzar jana abhi baki hai

Sajna bhi seekh lia , par sajane aana abhi baki hai .

Jodna bhi seekh lia ,
par apne parivar ko khud se jod k rakhna abhi baki hai .

Ab to Kosana bhi seekh lia , par tareef karne aana abhi baki hai

Maine inn choti choti cheezo se , jeena to seekh lia ,
Par kisi ke lie jeena aur marna abhi baki hai!!!!!!!!!!!!!!

Sahi Dishaa…

Kadam badhao to sahi , manzil pass hai ,

Ankhein Kholo to sahi , Har Subah tmhare sath hai .

Paseene bahao to sahi, Gaach ki chhaon tmhare sath hai ,

ghar aao to sahi , ham sab tmhare sath hai .

Apno ke aage jholi phailao to sahi , khushiyon ka khajana tmhare pass.

Ruko na tum, daro na tm , jo karna hai wo karo tum , bhagwan tmhare sath .

Soch me safalta hai ,

kadam me uddeshhya hai ,

Aankhon me roshini hai aur ,

Ghar me khushiyan hai .

ye duniya aise hai , sab ke lie ek jaise hai ,

to ruko na kabhi , kyunki manzil sabke liye ek jaise hai .

Kuch to Choot rha tha wahan …..

Kuch to choot rha tha wahan , jo mujhe kheench raha tha

Shayad wo dost , jinke sath bitaya tha kuch samay ,

wo kheech rhe the ,

Shayad wo jagah , jiske har ek pag pe kuch tasveere thi dimag me ,

wo kheech rhi thi .

Shayad wo beeta hua samay , jinki kuch yaadein ,

wo kheench rahi thi .

Haan!!!!!…. kuch to tha wahan pr ,

jo mujhe rok raha tha .

Shayad wo ghar hoga , jiski har deewar har kona maine sajaya tha ,

Shayad us ghar ki wo seedhiyaan hongi , jiski kadiyaan mujhe yaad ho gai thi ,

Shayad wo galiyara hoga , jinse lagav ho gaya tha mujhe ,

Shayad wo chaurahe honge , jinki har jankari mujhe hoti thi ,

Par ab na rok paunga , jane se

Bas ek baat kehta hun khud se , Mauka milte he milne aunga sabse

Saari yaadein dauharaunga firse …………………